Sunday 8 November 2009

Cheese-y Shaayari

Guwahati mein aaj kal Thand ka mausam chha gaya hai. Suraj jaldi dhal jaata hai, shaam ka taapmaan aur chalti hawa ghumnae ka achcha mood set kar dete hai. Chandani raat ho, jab campus mein light 2 min ke liya cuta jaati hai - mann karta hai ki phir shuru na ho

magar kya karein ghoomein toh bhi kiske saath??

Yeh Shaayari mere jawan dosto ke naam jo apne khaas se duur ho chuke, aur unkae liye jo meri tarah tamanna le baithe, par sabse zyaada uss Apsara ke naam jiske pyaar ke intezaar mein hum tadapte hue..

Padiye... aur buraa lage toh kisi aur ko na kahiye ;)


Suhana yeh mausam hai
Chaand khil raha
Thandi hawa chal rahi
Teri raah dekhta mara

Kohraa chhaya hua
Duniya khamosh, so gaya
Haath milae chal
Koi na dekh raha

Aaj tak may na pi
Sirf pyala dekhta raha
Teri zulfon ki mehek
Kis nashe mein kho gaya

Meri jaan tujhpar fidaa
Chupke se tujhae kaha
Tu kya sharma gayi, haaey
Mein aasmaan chhu aaya

Tujhae har chehre mein dhuundte
Shayar bann gaya
Teri mohabbat karte hue
Dil dard karta hua